Zindaagi Mein Bahut Gam Hain,Phir Bhii Magar,
Thoda-Thoda Sa Tum Muskurate Raho.
Saamne Aaye Laharen Parlay Kii Magar,
Kisti Jeevan Kii Tum Chalate Raho.
Aaj Kal Zindaagi Mein Bahut Dwand Hain,
Mana Chalne Ke Rashte Bhii Bandh Hain.
Kaali-Kaali Ghatayen Hat Jayengi,
Tum Kosish Ke Diye Jalate Raho.
Baadalon Kii Tarah Tum Garajte Rahe,
Bijliyon Kii Tarah Tum Chamakte Rahe.
Kayal Hoga Jamana Tumhara Bhii,
Aansuon Ko Motii Tum Banate Raho.
Manjilen To Tumhari Door Hain,
Haath Paaun Chalne Ko Majboor Hain.
Ikcha Agni Tumhari Bahut Hain Prabal,
Haule-Haule Ise Sulgate Raho.
Aaine Me Tumhari Jo Tasveer Hain,
Wakai Kya Tumhari Yahi Takdeer Hai.
Rukh Hawa Kaa Agar Mod Naa Sako,
Usme Thodi-Thodi Khusboo Milate Raho.
Zindagi Ekk Paheli Hai Sansaar Mein,
Yahan Sab Kuchh Bikta Hain Baazaar Mein.
Rakhte-Rakhte Bahut Din Ab Ho Chuke,
Thodi-Thodi Si Khushiyan Lutate Raho.
Zindagi Saans Lene Kaa Nahii Naam Hain,
Tujhko Apne Siwa Bhi Kayi Kaam Hain.
Patharon Kii Tarah Bahut Jiya Zindaagi.
Mom Bankar Bhii Khud Ko Pighlate Raho.
Rashton Par Abhii Tak Bhatakte Rahe,
Kuch Na Kuch Dusaron Se Jhatakte Rahe.
Chalna Phirna Sugam Ho Sabhii Ke Liye,
Path Ke Kaanton Kpo Kuch Hatate Raho.
Dooriyan Kam Huin,Faasle Badh Gaye,
Oonchi Umeedon Ke Manjil Gadh Gaye.
Bheed Ke Beech Mein Kyun Tanha Ho Tum?
Apne Saathi Ko Rahbar Banate Raho.
Kabhi Tumhe Dekh Kar Bhi Dard Hota Hain Kisi Ko,
Tumse Bhii Shayad Mohabbat Hogi Kabhi Usko.
Yahi Soch Kar Tum Khud Ko Rone Se Rok Lo,
Aur Zindagi Pe Thoda-Thoda Muskurate Raho.