Zikar Aaj Bhi Hota Hai Tera Meri Har Baat Mein
Aye Dilnasheen Bata Tujhe Hum Kaise Bhool Jaye
Mana Aaj Saath Nahi Hum Tere
Par Tere Bin Hum Bhi Kaise Zindagi Ki Har Khushi Kabool Jaye
Chahate The Hum Tujhe Beintihaan
Is Baat Se Inkaar Nahi Karte
Misaalen Dete The Jo Hum Pyar Ki
Aaj Bhi Unse Nahi Mukarte
Par Woh Manjar Judaai Ke Kaise Tujhe Bataye
Rukhh Toh Badal Leti Hai Hawaye Par Iss Kismat Ko Kaise Apni Baaton Me Uljhaye
Aye Dilnasheen Bata Tujhe Hum Kaise Bhool Jaye
Yaad Hai Mujhe Bhi Woh Bheegi Reit Se Naam Tera Mitaana
Tu Hee Bata Sanam Kamjor Tehreer Ko Kaise Apne Pyar Ki Taaqat Hum Banaye
Maana Ke Hum Hai Gunehgaar Tere
Jo Tere Haste Chehre Ko Iss Kadar Udaas Chor Aaye
Denge Qurbaani Ek Dinn Teri Hee Khaatir
Phir Na Kehna Tum Ab Bhi Ho Pehle Jaise Door Reh Kar Bhi Na Badal Paaye
Aye Dilnasheen Bata Tujhe Hum Kaise Bhool Jaye