Tera naam leke jaagi hai subha meri

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (1 votes, average: 5.00 out of 5)
Loading...
Shared by : On :

Tera Naam Leke Jaagi Hai Subha Meri,
Biina Tere Aaj Raaten Sula Dun?
Ye Mumkin Nahin,
Tujhe Hi Chhukar Muskuraye Lab Mere,
Biina Tere Aaj Zindagi Hansa Dun ?
Ye Mumkin Nahin,

Tere Haathon Ne Mitaye Hain Ashq Mere,
Biina Tere Aaj Palken Chhalka Dun?
Ye Mumkin Nahin,
Raton Men Tera Chaahna Yaad Aata Hai,
Biina Tere Aaj Shamma Bhuja Dun?
Ye Mumkin Nahin,
Teri Bahon Men Khoii Rahati Thi Kabhi,
Biina Tere Aaj Khud Ko Bhula Dun?
Ye Mumkin Nahni,
Mera Karar Tere Ishq Ki Galiyon Men Hai,
Biina Tere Aaj Khushiyan Bula Dun?
Ye Mumkin Nahin,
Jine Ki Chahat Bas Teri Bahon Men Hoti Hai,
Biina Tere Aaj Zindagi Biita Dun?
“Pooja” Ke Liye Mumkin Nahin.