Zakhmi Honthon Pei, Tadap Ke Taal Sa Bajne Laga
Intehaa-E-Gam Mein Ruh Ke Geet Sa Sajne Laga
Tareekhiyan, Tanhaayian, Har Jagah *Afsurdagii
Ekk Bechara Dil, Wo *Dasht-E-Ziist Mein Ulajhne Laga
Dhundhala Gayi Nazar Tau Kya, Hoon Nahin Benoor Main
Be-Raushan *Kafas Mein, Khuun-E-Dil Se Ghum Likhne Laga
Qurbaton Ke Faaslon Ki Intehaa Kyaa Ho Gayi
Bas Ke Sanson Mein Meri, Wo Duur Duur Hone Laga
Teri Berukhi, Teri *Be-Neyaazi, Tauba Yeh Bezaari Teri
Tum Nahin *Maharam Mere, Haan Ab Yaqeen Hone Laga
*Taj Hi Doge Tum Bhi Mujhe, Bus Auron Kee Tarah
Har Pal, Tere Aagosh Mein, Yeh *Vasvasa Basne Laga
Kal Raat Aaine Mein Hum, Khud Se Huye Jo Ru-Ba-Ruu
Sard Aahein Huyin Dhuaan, Taaza Lahoo Behne Laga
Kya Ghazab Likha Ke ‘Paras,’ Aankh Aankh Bhar Aayi
Vahshaton, Meri Haadison Ka Haunsla Badhne Laga