Zakham Dukhne Lage Be-Mehar Aaj Kee Raat
Unke Aane Kee Naa Ho Khabar Aaj Kee Raat
Unse Kehna Kee Mudh Ke Naa Dekhein Mujhko
Chura Naa Le Unko Meri Yeh Nazar Aaj Kee Raat
Chupa Ke Tees Mehekna, Muskurate Phirna
Dekhna Phir Se Pee Leinge Yeh Zehar Aaj Kii Raat
Meri Haalat Pe Pashemaan Hai Shab Bhii Mujhse
Khuda Keh De Kii Hogi Meri Bhii Sehar, Aaj Kii Raat
Unke Deedaar Ko Chali Ho Tau Sambhal Ke ‘Paras’
Hans De Naa Koyi Be-Rahm Thokar Aaj Kii Raat
Chalo Mita Daalein Naam-O-Nishaan Hii Apna
Taarikiion Ko Ho Na Jaaye Khabar Aaj Kii Raat
Kahin Ishara Naa Ho Waqt-E-Rukhsati Kaa Yaarab
Dekhta Hain Falak Kii Or Chaaraagar Aaj Kii Raat