Zaalimo^n Ne Kahi^n Ka Naa Chhoda Rumi.
Ikhtyar-E-Ishq Bhi Toone Khoyaa Rumi.
Abb Kya Sunaoo^n Haal-E-Dil Yaaro^n
Kahi^n Ka Naa Raha Haa-E-Dil Rumi.
Rudad-E-Jafa Unki Sunaoo^n To Kioun-Kar.
Rudad-E-Wafa Kabb Toone Kaha^n Jaana Rumi.
Saa^ns Kee Aamad-O-Shad Ne Bacha Rakha Hai.
Rooh To Kabb Kee Fanaa Ho Gayee Rumi.
Eik Mohabbat Thi Usne Bhi Nazar Fer Liya,
Eik Qayamat Thi Usne Bhi Nazar Fer Liya,
Eik Adawat Thi Usne Bhi Nazar Fer Liya,
Eik Nazakat Thi Usne Bhi Nazar Fer Liya.
Kis-Kis Ka Sunaoo^n Kis-Kis Ne Nazar Fer Liya.
Eik Jafakar Se Tune Fir Bhi Na Nazar Fera Rumi.