Ye Kaun Sa Makam Hai, Ye Kaun Sa Manzar Hai,
Insaan Khud Ko Hi Aaj Samajhata, Khuda Aur Samandar Hai.
Insaaniyat, Sachhai, Bhaichara Rakh Diya Taak Pe,
Dehshet, Wehshet Aur Laalach Ka Ye Bana Paighambar Hai.
Bhooke Ka Niwala Nangey Ka Libas Tak Loot Liya,
Safedposhi Ki Chadar Odhkar, Yeh Haiwan Bhayankar Hai.
Takreereyn, Fuslana, Dhamkian Hain Inkey Asley,
Humari Tumhari Khaufzada Chuppi Har Su Bahar Andar Hai.
Kyunkar Hum Karen Bardasht In Begairat Logon Ko,
Jo Himmat Kar Ho Jayen Khade Hum Me Bhi Ek Sikandar Hai.
Muttahid Ho Ukhad Phenkey Jad Se In Darindon Ko,
Varna Lachargi Ke Liye Girjaghar, Masjid Aur Gurmandar Hai.
Ke Khuda Bhi To Kar Sakey Fakar Apne Bando.N Pe,
Kyunki Pakizagi Ka Har Sipahi Haqeeqatan Ek Kalandar Hai.