Yaad Beete Dinon Ki Dilaate Ho Kyon
Main Bahut Ro Chuka, Ab Rulate Ho Kyon
Gar Nahin Ho Kisi Ke Gunahgar Tum
Apnaa Munh Is Jahaan Se Chhupaate Ho Kyon
Kya Milega Tumhen Raakh Ke Dher Se
Khaak Men Mujh Ko Aakhir Milaate Ho Kyon
Surkh Hai Khuun-E-Dil Bhii Miraa, Ai Sanam!
Apne Haathon Men Menhdii Lagaate Ho Kyon
Laut Kar Apne Ghar Bhii Na Main Jaa Sakuun
Saaqiyaa! Mujh Ko Itnii Pilaate Ho Kyon
Dekh Kar Mujh Ko Kahtaa Hai Ye, Aainaa
Aankh Nam Hai To Phir Muskuraate Ho Kyon
Kab Ye Main Ne Kahaa Hai, Ho Tum Be-Vafaa
Apnii Majbuuriyaan Tum Bataate Ho Kyon
Huun Khatavar, Main Khud Chala Jaungaa
Apnii Mehfil Se Tum Uth Ke Jaate Ho Kyon
Doston Kii Tarah Mat Milo, Thiik Hai
Dushmanon Kii Tarah Pesh Aate Ho Kyon
Jin Ko Parh Parh Ke Din Raat Rote Ho Tum
Aise Ash-‘aar -Ë—maikash-‘ Banaate Ho Kyon