Yaa Mere Allah! Aapne Kya Khoob Duniya Banai Hai,
Kisko Kya Hassil Hai, Jo Bhi Mila Woh Kismat Ka Khel Hai,
Jo Nahi Mila Samjho Taqdeer Ka Tamasha Hai,
Yahaan Har Chiz Yaa Mere Allah Aapki Marzi Se Hoti Hai,
Aap Jab Chahe Nachaate Hai Aur Jab Chahe Mitate Bhi Hai,
Dukh Bhi Aap Hi Dete Hai, Sukh Bhi Aap Hi Dete Hai,
Najaane Kyo Yaa Mere Allah Aap Aisa Karte Hai…
Ek Pal Mein Khushiyaan Dete Hai,
To Dusre Pal Mein Woh Hi Khushiyaan Chin Bhi Lete Hai,
Dard Dene Se Aapko Khushi Milti Hai,
Yaa Fir Kisiki Yaado Mein Kisiko Tadpane Se Aapko Mazaa Aata Hai,
Maana Ke Yeh Duniyaa Aapne Hi Banai Hai,
Aur Yahaan Aapki Hi Marzi Chalti Hai,
Najaane Kyo Yaa Mere Allah Aap Aisa Karte Hai…
Kehte Hai Log Yaa Mere Allah! Aapke Bagair Ek Patta Bhi Nahi Hilta Hai,
Toh Fir Iss Zamane Mein Itni Bewfai Aur Nafrate Kyo Hai,
Duniya Mein Mohabbat Ki Den Bhi Aapki Hi Hai,
Jab Mohabbat Aapne Banai Hai, To Fir Aapne Hi Bewafai Kyo Banai Hai,
Do Anjaan Dilo Mein Chahat Bhi Aap Hi Jagate Hai,
To Fir Kyo Dil Milne Ke Baad Dilo Mein Dooriya Banate Hai,
Najaane Kyo Yaa Mere Allah Aap Aisa Karte Hai…
Jab Do Dilon Ko Milake Bhi Judaa Karna Hi Hai,
To Fir Kyo Unhe Milate Ho Yaa Mere Allah!
Milna, Bichadna Yeh Aapka Hi Saara Khel Hai,
Agar Pyaar Mein Insaan Jaan Deta Hai,
To Fir Yaa Mere Allah! Aap Zindgi Hi Kyo Dete Hai,
Ajab Hai Aapke Karam Yaa Mere Allah!
Najaane Kyo Yaa Mere Allah Aap Aisa Karte Hai…
Aap Hasste Huye Insaan Ko Rulate Hai,
Aur Rote Huye Insaan Ko Hassate Kyo Hai,
Yaa Mere Allah! Ye Aapne Kyaa Sitam Kiyaa Hai,
Wah! Mere Allah! Aapne Kya Khoob Duniya Banai Hai.
By Ruhin Shaikh “Rohi”