Woh Elco Ki Pani Puri,
Woh Chowpatty Ki Chaat,
Woh Naturals Ki Ice Cream,
Wah Usme Thi Kuch Baat.

Woh Tiwari Ki Mithai,
Woh Raste Ka Dosa,
Woh Shivsagar Ki Pav Bhaji
Aur Guru Kripa Ka Samosa.
Woh Local Train Ka ‘Suffer’,
Woh Juhu Beach Ki Hawa,
Woh Chowpatty Ke Tange
Aur Joggers Park Ka Sama.
Woh December Ki Zara Si Sardi,
Woh Baarishon Ke Mahine,
Woh Garmi Ki Chuttiyan,
Jab Chutthe They Paseene.
Woh Holi Ki Masti,
Woh Navratri Ka Garba,
Woh Divali Ke Patakhe
Aur Ganpati Ka Shor O Sharaba.
Woh Peak Hours Ki Traffic,
Woh Best Ki Rush,
Woh Tadapti Garmi Mien,
Snowmans Ka Ek Kala Khatta Slush.
Woh Juhu Beach Ka Mohol,
Woh Samunder Ki Leheren,
Woh Doobte Suraj Ka Nazara,
Wah Uska Kya Kehena.
Woh Sterling Ka Popcorn Aur
Cotton World Mein Shopping,
Woh Fashion Street Ka Nazara
Aur Nariman Point Ki Building.
Woh Cinema Ke Queue,
Woh Black Ki Ticket,
Woh Shivaji Park Ka Maidan,
Jahan Practice Karte The Cricket.
Itni Cheezen Kehene Ke Baad,
Aur Kitni Karoon Mein Badai,
Yeh Shehar Hain Mera Apna,
Jiska Naam Hai Mumbai !!!!!!!!