Woh Choodiyan Jo Kuch Kehti Thi Chupkese Sharma Ke
Itra Ke Sapne Bun Ti Thi Kisi Ki Kaliyon Mein Sajne Ki
Par Shayad Waqt Hi Tha Kuch Aisa
Ki Chitak Gai Woh Kach Ki Choodiyan
Aakhir Kach Tha Na Par Roti Hain Sisakti Hain
Aaj Bhi Woh Tooti Choodiyan Phir Se Judne Ko
Kash Koi Aisa Malham Hota Ki
Tooti Choodiyan Phir Se Khankhanati
Tere Hathon Mehann Tere Haton Me
Kitana Acha Hota Agar Choodiyan Bol Pati,Kaha Pati,
Haan Woh Kahti Hain,Hum Sunte Hain,
Jab Woh Sajti Hain Dulhan Ki Haton Mein,
Tab Woh Kahti Hain Dulhan Ki Ankho Se
Aur Hum Sunte Hain Dil Ki Awaz Se,
Jab Woh Tutati Hein To Kahti He Apne Tadap Se,
Tab Hum Sunte Hain Ush Se
Mein Khankhanana Chahati Hoon,
Ush K Hathon Me,
Hann Ush K Hatoh Me.