Woh Ashk Bankar Mere Chashme-O-Tar Mein Rahta Hai,
Ajeeb Shaksh Hai Paani Ke Ghar Mein Rahta Hai
Itna Tuta Huin Ke Choone Se Bikhar Jaoonga,
Ab Jo Aur Dua Do Ge To Shayad Mar Jaoonga.
Hamein Ek Shaks Bhi Pyaar Ke Kabil Nahin Milta,
Koi Dil Se Nahin Milta, Kisi Se Dil Nahin Milta
Dil To Kiya Rooh Mein Utar Jaate, Tum Hamein
Chaha Hi Nahin, Chahne Waloan Ki Tarah
Har Waqt Chale Aate Ho Khole Hue Baal,
Shaam Dekho Na Meri Jaan Sawera Dheko
Woh Mujhe Apne Iss Qadar Qareeb Lagta Hai
Iss Ko Agar Alag Se Sochon To Ajeeb Lagta Hai
Apnay Haathon Se Yuun Chehare Ko Chhupaate Kyon Ho
Mujh Se Sharmaatay Ho To Saamane Aatay Kyon Ho
Tum Kabhii Merii Tarah Kar Bhii Lo Iqaraar-E-Vafaa
Pyaar Karaye Ho To Phir Pyaar Chhupaate Kyon Ho
Ashk Aankhon Me.N Merii Dekh Ke Rotay Kyon Ho
Dil Bhar Aataa Hai To Phir Dil Ko Dukhaate Kyon Ho
In Se Vaabastaa Hai Jab Meraa Muqaddar Phir Tum
Mere Shaanon Se Ye Zulf Hataatay Kyon Ho
Roz Mar Mar Ke Mujhe Jiine Ko Kehtay Kyon Ho
Milnay Aatay Ho To Phir Laut Kay Jaatay Kyon Ho