Wo Jo Abtak Mere Zehen Mein Tha
Kuchh Door Ko Jaane Laga Hai
Khoobsoorat Khwaab Tha Shaayad
Jo Is Subha Se Ghabraane Laga Hai
Mai Sochta Tha-Â…ke Wo Ek Chehra
Shaayad Meri Pehchaan Ban Jaayega
Na Maaloom Tha Waqt Phir Karwat Lega
Or Wo Bhi Bas Itihaas Hi Ho Jaayega
Ab Mai Usme Pehle Si Wo Shakshiyat Nahi Paata
Uske Chehre Me Mujhkomera Khuda Bhi Nazar Nahi Aata
Ye Tazurba Hai Ya Ke Dard Mera Jo
Mai Usme Wo Pehle Simaasoomiyat Nahi Paata
Wo Chehra Jo Aadat Si Ho Chala Tha
Gaye Saal Ka Calender Sa Ho Chala Hai
Tasweer To Ab Bhi Hai Mere Batuve Me
Per Kis Kone Me Uska Pata Kho Chala Hai
Jo Meri Khushiyon Ka Kaaran Banaati Thi
Wo Jubaan Mujhe Dard Pahunchaane Lagi Hai
Ey Khuda -Â…kaash Ye Khata Sab Meri Hi Ho
Meri Raushni Hi Ab Mere Daagon Ko Dhikhaane Lagi Hai