Wo Aahista Se Badlein Karwat
Ye Gujarish Hain Meri Unse,
Unhe Ye Khabar Nahii Shaayad
Main Aksar Raton Ko Hee
Apne Jakhmon Ko Khol Kar Sota Hoon,
Mere Bistar Pe Main Tanha Hii Nahii
Meri Parchaaiyaan Bhii Soti Hain,
Mera Jharokhe Mein Parda Nahii Hain
Unse Gujarish Hain Wo Apna Hii Band Karlein
Aksar Unke Ghar Mein Raushni Bahut Hoti Hain,
Wo Aksar Chhu Chhu Ke Puchte Hain
Mere Zakhmon Kaa Mizaaz,
Badi Taqleef Hoti Hai,Aakhir Ik Insaan Hoon Main
Unse Gujaarish Hain,
Ke Eise Naa Aajmaaein Mujhe ,
Ye Sach Hain Ke Apne Har Dard Ko
Mai Khud Hii Barhata Hoon Ey Dil,
Wo Nazar Phir Naye Khwaab Dikha Deti Hain
Unse Guzarish Hain Wo Nazar
Jara Kam Hii Milaaye Mujhse,
Wo Chaand Kabhii To Chamkega
Mere Wojood Ke Aasmaan Mein,
Ey Dil Kuchh Or Intzaar Kar
Kabhi To Nazdikiyaan Aaeingi Hamaari Unki Pehchaan Mein.