Waqt Ki Shakhon Say Lamho Kay Pattay,
Halat Ki Aandhi Main Yu Gir Jatay Hai,
Jaise Kisi Ki Aankho Main Khaab Bikhar Jatay Hai,
Wo Khaab Jo Baray Khaloos Say Sajaiye Thay Kisi Ne,
Jagi Aankho Say Din Main Dikhaiye Thay Kisi Ne,
Jinka Kahin Bhee Koi Thikana Nahi Thaa,
Jo Sirf Khaab Hee Thay Soonay Say Khaab,
Jinko Kabhi Kisi Ki Aankh Main Aana Nahi Thaa,
Jinka Naseeb Sirf Tutna Hee Thaa,
Lakin Phir Bhee Wo Awara Say Sapnay,
Na Janay Kiyon Mujhko Lagtay Hai Apnay,
Unko Jab Main Aankho Main Qaid Karta Hoon,
Wo Meri Aankho Main Chubtay Hai Tut Tay Hai,
Aankhain Khulnay Kay Baad Wo Sapnay,
Meri Aankho Ki Lali Main Ghul Jatay Hai,
Pathrai Aankho Main Jajab Ho Jatay Hai,
Aisa Hee Ek Sapna Hai Tera Milna,
Jo Meri Aankho Main Hai Bassa,
Usko Aankho Main Qaid Karnay Ki Koshish Main,
Janmo Say Palkain Munday Baitha Hoon,
Zamana Samjhta Hai Pagal Mujhko,
Aksar Mere Baray Main Yahi Kehta Hai,
Dekho Aankho Wala Andha Ja Raha Hai,
Wo Kaya Janay In Aankho Main Koi Muskura Raha Hai,
Jo Qadam Qadam Pay Bachata Hai Thokar Say Mujhay,
Bhatki Huie Zindagi Ko Nai Rah Dikhata Hai,
Mere Aansuon Main Jab Tera Akas Nahata Hai,
Mere Aansuon Ko Bhee Behnay Main Mazza Aata Hai,
In Aankho Main Bass Jao Tum Jyoti Ban Kay,
Mujhay Andhary Main Chhor Kay Kahin Mat Jao,
Mere Khabo Ko Tum Bhee Aankho Main Basao,
Koi Aansu Tum Mere Liye Bahao,
Magar Farak Yeh Ho Ki Tere Aansu Khushi Kay Ho,
Sapnay Bass Zindagi Kay Ho,
Teri Zindagi Main Sab Rang Hassi Kay Ho,
Mere Baad Bhee Tumko Meri Yaad Aati Rahay,
Meri Yaadon Say Teri Zindagi Muskurati Rahay,
Magar Main Jee Na Paounga Tere Bina,
Kasam Teri Mar Jaounga Tere Bina,
Waqt Ki Shaakh Say Gir Jaounga Kisi Pattay Ki Tarha..
Kisi Pattay Ki Tarha….Kisi Pattay Ki Tarha…