Waqt Ke Gujartey Gujartey, Chaap Apni Chod Gaye
Kuch Rishtey Bemaney The, Jo Humsey Chuth Gaye
Kehtey Hain Jo Bhii Milta Hain Apna Hii Ban Jaata Hain
Par Wo Kaise Apne The, Jo Humse Ruth Gaye
Haath Thaamna Har Kisi Ke Bas Kii Baat Nahi
Yu Laga Vo Paas Aaaye, Par Sach Mein Humse Dur Gaye
Raastey Jaane Pehchaane They, Par – Pal Bhi Bhikhar Gaye
Paas Aate Aate Dekho, Kuch Log Aadhe Rasstey Se Mur Gaye
Dukh Nahi Aaj Kisi Bhii Baat Kaa, Jo Hona Tha Achha Hii Hua Shayad
Naa Aisa Hota To Sabak Naa Milta, Naa Aisa Hota To Sacha Dilbar Nahi Milta!
Dukh Kii Bheed Mein Sache Humdum Mil Gaye
Dekho Aaj Roshan Hain Ye Aakash Aur Sami, Phool Rahon Mein Khil Gaye
To Phir Kyu Hum Roye, Un Rishto Ke Liye Jo Haathon Se Chut Gaye
Apne Vo Nahi Hote Dosto! Jo Ekk Baat Se Umr Bhar Ke Liye Humse Ruth Gaye!!