Waqt Ka Kaanta To Chalta Rahega,
Har Guzra Hua Pal Tujhse Yeh Kahega,
Jee Le Aaj Iss Pal Ko,
Jo Pal Guzar Gaya,Woh Kal Phir Na Rahega
Waqt Ka Kaanta To Chalta Rahega
Iss Safar Mein Har Ek Se Bahut Shiddat Se Mil Par
Kisi Se Koi Umeed Na Kar,
Jo Jahan Ab Hai,Nahi Woh Kal Waha Rahega
Waqt Ka Kaanta To Chalta Rahega
Pyaar, Mohabbat, Ishq
Yeh Sab Khilone Hai Jazbaat Ke Bazaar Mein,
Rishta Sirf Woh Nibhega
Jo Dil Se Dil Tak Ka Rahega
Waqt Ka Kaanta To Chalta Rahega
Jaanta Hoon, Kisi Se Bichad Kar Jeena Bhi Bahut Mushkil Hai,
Bichadne Ke Baad Zindagi Bhar
Aankhon Mein Ek Sisakta Hua Karvaan Rahega
Waqt Ka Kaanta To Chalta Rahega
Koi Nahi Jaan Sakta Keemat Inn Ashko Ki,
Uss Shaks Se Pucho Keemat Inn Ashko Ki,
Jiski Aankh Se Yeh Ashk Bahega
Waqt Ka Kaanta To Chalta Rahega
Sochta Hoon, Iss Mehfil Mein Khwaish Aakhir Tu Kab Tak Rahega??
Phir Sochta Hoon,Panchi Udd Bhi Jaaye To Kya Hua??
Peeche Aashiyan To Rahega