Waqt Ka Gujarna Badal Deta Hain Bahut Kuch
Ke Abb Chah To Hain Par Pyar Nahi Hai
Uski Bewafai Ke Baad, Jaise Rishte Badal Gaye
Ke Wo Sab Kuch To Abb Bhi Hain Par Yar Nahi Hain
Ik Waqt Tha Jab Pal Ka Intezar Bhi Tha Mushkil
Abb Chah Hain Ke Wo Aaye Par Uska Intezaar Nahin Hain
Gar Wo Aa Gaye To Khushi Ke Aansu Baha Denge
Issee Jayada Dil Mera Abb Beqraar Nahin Hain
Uske Aane Par Bichh Jaye Na Dhadkane Kadmo Tale
Inn Dhadkano Par Muzhko Abb Bhi Aitbaar Nahin Hain
Maut Nahin Chahiye, Milne Ki Chah Mann Mein Hain Dabi
Par Yeh (Maut) Aa Bhi Jaye To Muzhe Inkaar Nahin Hain
Par Koi Bata De Unhe, Phool-Patte To Hain Shahar Mein
Par Pehle Jaisi Abb Yahan Bahaar Nahin Hain
Sachcha Pyar Nahin Karte Abb Log Yahan Ke
‘Bekaar’ Log Hi Kehte Hain Ke Hum ‘Bekaar’ Nahin Hain
Bewafai Ki Thi Usne Par Ik Imaandari Thi Rishte Mein
Abb Yahaan Ke Rishte Itne Imaandar Nahin Hain
Shahar Mein Aayegi, Kaun Sambhalega Usee Mere Baad
Ke Yahan Ke Log Achhhe To Hain Par Madadgaar Nahin Hain
Uske Samne Dard Chhalak Na Jae Kahi Mera
Ke Chro Taraf Mere Dil Ke Ek Bhi Deewar Nahin Hain
Vaise Khuda Muzhe Abb Tu Tere Pass Hi Bula Le
Teri Badi Duniya Mein Kahi Bhi Abb Qaraar Nahin Hain