Waqt Jo Beet Gaya Wo Phir Atta Nahin Hai,
Koi Lamha Kud Ko Kabhi Dohrata Nahin Hai
Gairoon Ke Haar Pe Har Koi Khish Hota Hai,
Apni Haar Pe Koi Muskurata Nahin Hai
Dard Dil Pe Rehta Hain Phir Bhi Lab Muskurate Hai,
Aise Adakari Har Koi Nibhata Nahin Hai
Har Rishta Khudgarjee Par Bana Huya Hai,
Jab Talak Ho Andhera Koi Shama Bujhata Nahin Hai
Kee Thee Uske Ishq Se Khusiyoon Ke Umeed Hamne,
Ab Uske Isq Ke Sive Koi Dard Satata Nahin Hai
Rishta Raha Hoga Uska Mujhse Shayad Koi,
Warna Gaorrn Ko Koi Dafnata Nahin Hai
Kyun Bura Mane Ke Log Dastak Ko Majnu Kehte Hai,
Asse Izzat Zammane Mein Har Koi Kamata Nahin Hai