Waqt E Shab Tha Or Falakh Per Chamkti Thii Bijliyaan
Baarish Barsti Thii Kii Barsaata Tha Aansoon Aasmaan
Her Taraf Pani Hii Pani Tha Najar Ke Saamne
Or Ekk Musafir Tha Khada Mandir Ke Dar Ke Saamne
Aaankh Mein Aansoon The Uske Or Labon Per Thii Phadkan
Bheeg Kar Baarish Mein Bichare Ki Bad Chuki Thii Dhadkan
Door Tha Mauj-E-Samnadar Se Wo Kisi Saahil Kii Tarah
Chaak The Kapde Kisi Diljale Ke Dil Kii Tarah
Aankh Se Behte The Aansoo Jyon Koi Jharna Baha
Sardi Kanpati Thii Kisi Mareej-E-Judi Kii Tarah
Or Andar Ekk Pujari Tha Magan Par Bekarar
Gaata Tha Bhagwaan Kii Mahima Ke Nagme Baar Baar
Or Baahar Wo Musafir Tha Khada U Kaampta
Kapde Sab Bheege Hue Or Aansuon Se Chehra Bhara
Ye Sama Dekh Gusse Mein Pujari Aa Gaya
Taish Dil Mein Aa Gaya Or Krodh Se Ghabra Gaya
Deke Dhakke Usko Bas Mandir Ke Baahar Kar Diya
Phitrat Apni Duniya Pe Usne Yun Jaahir Kiya
Khud Anadar Chala Gaya Or Bhajan Phir Gaane Laga
Jab Jhukaya Sir To Aayee Phir Ye Sada
Kii Jisko Thukraya Hai Tune Wo Tera Mehmaan Tha
Jaag O Gaflat Ke Maare Wo Krishn Bhagwaan Tha