Waah Re Aye Mere Bharat Desh Ki Naari
Ye Kaisi Lag Gayi Hai Aajkal Tujhe Bimaari
Khoyi Rehti Ho Humesa Jeans Aur Tshirt Mein
Kyun Pehan Na Bhul Gayi Woh Pyaari Si Saree
Jab Dekho Mashroof Si Rehti Ho Mack Up Mein
Kahan Gayi Woh Shadgi Woh Adaen Pyaar Wali
Ik Pal Ko Bhi Kabhi Khud Ko Andar Se Dekhti Nahi
Dusron Ki Hi Chugli Mein Bita Deti Hai Ghadiyan Sari
Acting Karne Mein Bhi Haan Koi Nahi Hai Inka Saani
Nakhre Aise Karti Hai Jaise Bus Ek Woh Hi Hai Bechari
Deen Raat Suna Suna Kar Masaeel Ki Woh Bhar Maar
Kar Deti Hai Hume Itna Pareshan Ye Lumbi Zuban Waali
Shadi Se Pehle Kitni Haseen Aur Roshan Hoti Hai Zindagi
Par Inke Aate Hi Bechare Pati Ki Kismat Ho Jaati Hai Kaali