Usay Bhi Yaad Tou Houngay woh Din, Woh Maah, Woh Saal
Ke Jab Dharakta Hee Rehta Thaa Dil Mein Shoq-E-Visaal
Woh Guftagoo Key Liye Dhoondna-Â…kayein Maozoo
Woh Uus Ko Paas Bethaney Mein Lakh Qeel-O-Qaal
Woh Eik Aahat-E-Manoos Kee Talab Mein Humein
Kahan Kahan Pey Liye Ghoomti Thi Chashm-E-Khayal
Woh Uus Ka Qurb Key Sou Dooriyoun Ka Roop Liye
Woh Eik Doori Ki Waja Hazaar Ranj-O-Malaal
Har Eik Subah Usi Ki Soorat Ko Dekhney Ki Talab
Har Eik Shab Key Kharaaboun Mein Uus Key Khad-O-Khaal
Woh Roz Sheher Ki Galyoun Mein Ghoomna Apna
Key Paas Sey Kabhi Guzrey Tou Ho Ga Kabhi Haal Ehwaal
Usey Bhi Merey Huwaaloun Sey Thi Shanasaayi
Firaaq Lamhey-Â… Thay Us Key Liye Bhi Maah-O-Saal
Woh Rat-Jugoun Sey Usey Bhi Thi Dosti Aysi
Key Neend-Â….Us Key Liye Bhi Thi Ek Khaab-O-Khayaal