Us Akelepan Ne Kuch Aisa Ghera
Chaand Ne Kiya Jaise Roshan Andhera
Jab-Jab Duniya Ne Thukraya
Harpal Tumne Saath Nibhaya
Yu Tou Hum Mile The Anjaane Se
Par Dosti Ka Matlab Tumne Sikhaya
Aaj Tera Yaarana Bahut Yaad Aaya
Woh Karna Mushkilo Mein Tera Intejaar
Woh Lutaana Tujhpe Khushiyaan Hazaar
Woh Maangna Udhaar Jab Hote The Kangaal
Woh Batana Ek Dusre Ko Apne Dil Ka Haal
Gujrengey Mahine Guzrengey Saal
Aur
Bichad Jayenge Hum Sab Yaar
In Aakhri Lamhon Mein Pal-Pal Saja Lu
Ek Aakhri Baar Tujhe Gale Laga Lu
Yun Tou Mile The Hum Anjaane Se
Par Dosti Ka Matlab Tumne Sikhaya
Aaj Tera Yaarana Bahut Yaad Aaya
Naa Jaane Kab Milenge Hum Sab Yaar
Naa Jaane Kab Lautegi Ye Bahar
Naa Jane Hogi Hothon Pe Ye Hansi
Naa Jaane Chod Jaogey Aankhon Mein Kitni Nami
Main Tou Apni Ye Jaan Gawa Du
Par Kaise Tera Ye Ehsaan Chuka Du
Shayad Hai Ye Dosti Ki Antim Raahein
Kyun Na Ek Dusre Ki Baahein Thaamein
In Aakhri Lamhon Mein Pal-Pal Saja Lu
Ek Aakhri Baar Tujhe Gale Laga Lu
Ek Aakhri Baar Tujhe Gale Laga Lu