Yaadon Ka Ghera Tha Maine
Ek Din Toda
Par Na Jaana Tha Ye
Ki Aisa Ho Na Sakegaa
Par Na Jaana Tha Ye
Ki Tu Mujhse Door Ho Na Sakegaa
Ek Lamha Hi Kaafi Tha
Ye Batane Ke Liye
Ek Lamha Hi Kaafi Tha
Teri Yaad Lautaane Ke Liye
Us Lamhe Ne Phir Badli Zindagi Meri
Paya Phir Tujhe Apne Kareeb Tha
Farak Sirf Itna Tha
Ki Jo Aankhein Teri Yaad Se Nam Hoti Thi
Aaj Nam Nahi Hai
Farak Sirf Itna Hai
Ki Jo Hoth Teri Yaad Mein Khamosh Rehte The
Wo Aaj Muskura Rahe Hain
Waqt Badal Gaaya
Teri Yaad Ke Ghere Se
Mera Damann Phir
Kahin Na Kahin Jud Gaaya
Par Aaj, Hai Ye Maine Jaana
Par Aaj, Hai Ye Maine Manaa
Ki Rishte Bhale Hi Toot Jaayein
Par Dil Se Yaadon Ka Saath Nahi Toot Sakta