Tumse Iltija Ki, Khuda Se Bhi Dua Ki
Kehlaun Na Mai Bewafa, Isiliye Wafa Ki.
Par Tumhe Parakhne Me, Sahi Se Samajhne Me
Ik Zara Si Bhool Ki, Jisne Ye Saza Di.

Jazbaat Ab Behosh Hain, Ye Dhadkane Khamosh Hain
Sanson Ko Hai Shikayat, Nahin Humko Maut Aati.
Hum Donon Ki Taqdeeren, Aur Haathon Ki Lakeeren
Humko Milateen Kaise, Jab Khud Hi Wo Juda Thi.
Nazron Se Hoke Dakhil, Hui Dhadkanon Me Shamil
Bikhrai Zulfen Aise Ki Zindagi Mehka Di.
Shayad Meri Tarah Hi, Tu Uljhi Bewajah Hi
Na Na Hi Kar Saki Tu, Aur Na Hi Tune Haan Ki.
Halaat Bhi Ajeeb The, Hum Aaye Kuchh Qareeb The
Par Asal Me Tab Bhi, Bahut Si Duriyan Thi.
Ai Jaan Teri Janib, Jab Bhi Hua Mukhatib
Palken Jhuka Ke Chilman Daali Tune Haya Ki.
Adayen To Gazab Ki Thi, Par Ladki Tu Ajab Hi Thi
Khud Hi Shama Jalai Aur Khud Hi Bujha Di.
Maangi Nahin Thi Daulat, Chahi Thi Teri Chahat
Lekin Meri Wafa Ki Keemat Ye Kya Ada Ki.
Hasrat Badi Thi Meri, Nafrat Mite Ye Teri
Par Na Badli Qismat, Ye Hai Wahin Jahan Thi..