Himmat e iltija nahe baaqihimmat e iltija nahe baaqizabt ka hosalaa

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (1 votes, average: 5.00 out of 5)
Loading...
Shared by : On :

Himmat-e-iltija Nahe Baaqi…
…………………….

Himmat-e-iltija nahe baaqi…
Zabt ka hosalaa nahe baaqi…

Ek teri deed chin gai mujh se…
Warnaa duniyan mein kiya nahe baaqi…

Apni mashq-e-sitam se haath na khench…
Main nahe yaa Wafa nahe baaqi…

Teri chashm-e-alam nawaaz ki Khair…
Dil mein koi gilaa nahe baaqi…

Ho chuka Khatam ahad-e-hijr-o-visaal…
Zindagi mein mazaa nahe baaqi……