Tumhein Yaad Hoga Wo Dilbar Diwaana Sa
Kuch Tau Pagla Sa, Kuch Wo Mastaana Sa
Bhuul Se Dil-Jalon Kii Mehfil Mein Aa Gaya Wo
Hua Uske Bhi Dil Kaa, Phir Jalna Jalaana Sa
Gam Zada Tere Dil Ko Thaama, Kis Dilkashi Se
Lubha Hi Gaya Chalkaa Ke Ankhon Se Paimaana Sa
Kabhi Usko Bhi Jafayein Saehni Tau Padhi Hongi
Kabhi Uski Bhi Ankhon Ne Bahaya Thaa Fasaana Sa
Khil Ke Mila Wo Ajnabi, Har Ik Se Aashnaa Sa
Goya Ke Ho Wo Koyi, Shahan-Shaah Puraana Sa
Nigaah-E-Mast Mein Uska, Ummiid Ke Diye Jalaana
Kaisa Laga Uska, Diwaana Bana, Jee Ko Churaana Sa
Tere Lafzon Mein Jhalakti Hai, Hai Surat Uski
Kaise Laga, Logon Ka Use, Tera Habib Banana Sa
Rehta Thaa Jo Duuba, Apni Hi Dhun Mein Magan
Rehne Laga Anjuman Mein, Ab Juda Sa, Begaana Sa
Bheegi Nazzaron Se Takna, Teri Berukh Adaayein
Aaine Se Bhi Dekha Na Gaya, Uska Kumhlaana Sa
Ab Tau Wo Roye, Tau Rota Hee Chala Jaata Hai
Karta Hai Shayri Se, Hasraton Ka Bujhaana Sa
Waqt Aa Hi Gaya, Hanske Widaa Kyun Nahin Karte
Har Baat Pe Yeh Kya Ki, Bura Bhala Sunaana Sa
Tarq-E-Wafa Pe, Kis Mushqil Mein Padh Gaye Hain Aap
Kii ‘Paras’ Hoke Bhi Dhoye Hai Wo, Dil Ka Khazaana Sa