Tumhe Aaj Mein Wo Sab Bata Raha Hu,
Jo Kitab Jamane Se Likhta Raha Hu,
Wo Tamaam Kisse Aurr Tamaam Rishte,
Jinhe Muddaton Se, Nibhata Raha Hu!
Kuch Panne Aise Bhi Likhe The Meine,
Jo Hamare Rishtei Bayaan Karte The,
Kuch Mithe Pal, Kuch Haseen Khayal,
Patton Sa Unhe Mei Sanjota Raha Hu!
Ek Roj Kuch Aise Hawaan Chali,
Chand Kagaj Kitaab Se Ud Gaye,
Kuch Samet Liye,Kuch Kho Gaye,
Wo Kagaj Mein Khojta Raha Hu!
Chalo Phir Se Unhe Ab Likha Jaye,
Ye Khayal Dil Mein Aaya Bhi Tha,
Par Ab Halaat Waise Rahe To Nahi,
Mein Kuch Baatein Bhulta Raha Hu!
Ye Sab Tumhe Mein Ku Bata Raha Hu,
Shayad Mein Hak Phir Jata Raha Hu,
Ek Savaal Bhi Mere Jahan Mein Hai,
Jawab Mein Khudse Poochta Raha Hu!
Ku Teri Najar Mein Ab Wo Baat Nahi,
Kya Meri Khataa, Kabil-E-Maaf Nahi,
Meri Rukhsat Pe Teri Ankh Nam Nahi,
Isi Pashopesh Mein, Joozta Raha Hu!
Chahe Gham Na Kar Meri Judaayi Ka,
Chahe Mujhse Koi Nata Bhi Na Rakh,
Mujhe Yaad Kare To Bemalaal Karna,
Itni Hi Ummeed Mein Karta Raha Hu!