Tum Sach Mein Kavita Ho Nazm Bhii Tum Ho
Sangeet Kaa Geet Tum
Shabdon Kaa Saar Tum Ho
Bacchey Kii Muskaan Mein
Jo Nanha Sa Hain Magar
Likh Diya Karta Hain Tumhe
Kyonki, Kavita Kavita Ho Tum
Hum To Kagaz Bharkar
Baitthey Hain Itminaan Se,
Magar Woh Baccha
Jiske Dil Mein Suna Hain
Khuda Basta Hain Apney Chote-Chotey Haathon Kii
Komal Ungliyon Se Ishaara Kar
Keh Daalta Hain Apni Sabhi Icchaaon Ko
Jabki Koi Kagaz, Naa Shyaahi,
Kalam Tak Se Anjaan Hain Woh.
Hum Shayar Ya Koi Lekhak Nahin
Humaare Shabd Tow Bas
Atthkheliyaan Kartey Hain
Kuch Safed Kagazon Per
Jiske Ooper Shirshak Likh
Taang Dete Hain Deewar Mein.
Kavi Tow Woh Baccha Hain
Jo Bin Zubaan Keh Daalta Hai Kavita
Jo Uske Bheetar Chupi Hain
Apne Jigar Se Likhey Shabdon Ko
Ishaarey Ki Hawa Deta Hai.
Aur Likhta Daalta Hain Kavita
Ekk Kavita Kavita Kii Kitaab Mein