Tujpar Na Mare To Kya Jeeye Hum
Yeh Soch Kar Bahut Khus They Hum
Humari Nazaron Mein Itne Uth Chuke They Wo
Ki Unko Pyaar Nahi Unki Puja Karte They Hum
Wo Jo Aaye Mehfil Mein To Bujhte Chirag Bhi Jal Utthe
Magar Na Jante They Ki Wo Humare Dil Ka Chirag Bujhane Aaye Hai
Ye Mante Hai Ki Aakar Aapne Mere Dilki Bagiya Aabaad Ki
Magar Yeh Bhi Sach Hai Ki Aapne Hi Humari Zindaghi Barbaad Ki
Dil Jalta Hua Kisi Ne Bhi Humara Na Dekha
Usne Bhi Na Kabhi Palat Kar Mujhko Dubara Dekha
Ussi Mod Par Khade Rahe Jahan They Wo Chod Gaye
Baatein Karte Hai Rahi Ki Humne Ek Besahara Dekha
Mujhko Chod Majhdhaar Mein Sahil Par Wo Aa Gaye
Ziddi They Hum Dub Gaye Humne Bhi Na Kinara Dekha
Wah Re Dil Aaya Hai Tu Bhi Kis Bewafa Pe
Jis Ki Nazar Mein Pyaar Ki Koi Kimmat Nahi
Mere Dil Ka Her Ek Katra Zakhmon Se Bhara Hai
Gammon Ka Bhoj Aur Ab Mein Utthao Kis Tarah
Hongi Hassil Humko Khushiyaan Kehte Hai Ye Sabhi
Diya Bujh Gaya”Jas” Ka Jalao Kis Tarah