Takhayyul Mai.N Tha Jo Ek Maah Wash
Tere Ruu Mai.N Gar Wahi Maasoomiyat Na Hotii
Qiyaamat Se Pehle Qiyaamat Na Hotii
Tumhai.N Aata Haii Dill Lubhaane Kii Ada
Dill Lubahane Kii Fusuun Ko Gar Pehchaan Letii
Kisii Farebee Se Dill Lagane Kii Mufaahmat Na Hotii
Dillagii Hi.N Tumhaarii Fitrat Haii
Tere Iraado.N Ko Gar Mai.N Jaan Letii
Sir Pe Dill Badalne Kii Tohamat Na Hotii
Tum Hi.N Ho Merii Pehalii Mohabbat
Tumhai.N Jigar- O- Nas Mai.N Gar Basaaii Na Hotii
Bhoola Bhii Detii Tumko Toh Nadaamat Na Hotii
Marz – E Ishq Ne Banyaa Waalah Dill Ko
Ishq Ke Giraft Mai.N Gar Mai.N Na Hotii
Merii Jindagi Mai.N Aise‚  Sadmat Na Hotii
Besh Ulfat De Ke Mujhe Isski Latt Laga Ke
Kasar Na Chori Tumne Zahmat Dene Mai.N Kooii
Mar Hi.N Jaatii Chandsii Gar Khuda Kii Nemat Na Hotii