Surur-E-Nazar, Wajd-E-Qalb-O-Jigar Ho To Ghazal Hoti Hain
Kuch Is Tarah Ki Kaifiyat Se Guzar Ho To Ghazal Hoti Hain
Badli Maen Chipa Nazar Aata Qamar Ho To Ghazal Hoti Hain
Zulmat-E-Shab Maen Umeed-E-Sahar Ho To Ghazal Hoti Hain
Kuch Faiz-E-Khudaai Kuch Fikr-O-Nazar Ho To Ghazal Hoti Hain
Kuch Aisa Muqaddar, Kuch Aisa Hunar Ho To Ghazal Hoti Hain
Gum-E-Hastee Ka Tanhaa Safar Ho To Ghazal Hoti Hain
Dil Gum-Zadaa Aur Diidaa-E-Tar Ho To Ghazal Hoti Hain
Raahat-E-Shorish-E-Zeest Muyassar Ho To Ghazal Hoti Hain
Aaghosh Maen Khalvat Ke Jo Ghar Ho To Ghazal Hoti Hain
Harsoo Sanaatta Na Apni Khabar Ho To Ghazal Hoti Hain
Saaye Se Bhi Apne Lagtaa Dar Ho To Ghazal Hoti Hain
Raah-E-Bekhudee Kaa Koi Safar Ho To Ghazal Hoti Hain
Manzil Bhi Apnee Teri Raahguzar Ho To Ghazal Hoti Hain
Radeef Bhi Ho Qaafiya Aur Behr Ho To Ghazal Hoti Hain
Ehsaas Tahreer Kaa Koi Daftar Ho To Ghazal Hoti Hain
Aap Puchtey Hain Kyun Aisaa Agar Ho To Ghazal Hoti Hain?
Jee Haan, Tamaam Baaton Kaa Asar Ho To Ghazal Hoti Hain
Jis Bazm Maen Ham Jaison Ka Basar Ho To Ghazal Hoti Hain
Qaari Ho Tumsaa Shayar Agar Fer Ho To Ghazal Hoti Hai n