Sunday Ki Chutti Thi Main Tha Kamre Mein Leta
Begum Paas Hi Baithi Thi Aur Chupke Tha Beta
Kamre Ki Khamosh Aada Ko Maine Yu Dekha
Aankho Ke Kono Se Begum Ne Mujh Ko Dekha
Phir Jo Ek Jhatke Se Palta Khaya Mousam Ne
Hothon Par Muskaan Sajaye Dekha Begum Ne
Lekin Yu Tha Kaan Lagaye Munna Kamre Me
Raat Ko Jaise Koi Chukidaar Ho Pahre Me
Maine Kaha Lo Ek Rupayya,Lekar Bahar Jaao
Bahar Jaakar Khelo Kudo Chat Aur Kulfi Khao
Lekin Munna Jhatke Ghaya Meri Baaton Se
Ghour Se Dekha Mujh Ko Maane Khez Nigahon Se
Kuch Lamhe Chup Rahkar Jo Muh Unse Khola
Haat Hawa Me Lahra Kar Mujhse Usne Bola
Chot Bachcha Samajh Ke Mujh Ko Na Sikhlana Reee”