Sulagtey Labon Pe Giraa Aur Paani
Bari Tishnigi Hai Pilaa Aur Paani
Sunaa Jab Wahaa’n Pyaas Bujhti Hai Sab Ki
Samandar Ki‚  Jaanib Gaya Aur Paani
Chaleingey To Taazaa Raheingey Hameshaa
Hawaa, Khoon, Samaa, Raastaa Aur Paani
Tahey Khaak E Sehraa Mili Aur Khushki
Samandar Ki Teh Sey Milaa Aur Paani
Sunaa Hai Ki Shehro’n Mein Biktey Hain Aksar
Lahoo, Jism, Insaan, Wafaa Aur Paani
Samandar Nadi Pii Gaya Aur Bolaa
Zaraa Aur Paani, Zaraa Aur Paani
Feroz Us Ney Poochaa K Kyun Aankh Nam Hai
Meri Aankh Mein Bhar Gaya Aur Paani