Sochte Sochte Phir Mujhko Khayal Aata Hai
Woh Mere Ranj-O-Masaib Ka Madawa To Na Thaa
Rang-E-Afshan Thaa Mere Dil Ki Khalaon Mein Magar
Ek Mard Thaa Aelaj-E-Gham-E-Duniya To Na Thaa
Meri Idrak Ke Nasoor To Rishte Rahe
Meray Hokar Bhi Woh Meray Liye Kya Kar Laytey
Hasrat-O-Yaas Ke Gambheer Andhere Mein Bhala
Ek Nazuk Si Kiran Saath Kahan Tuk Daytay
Usko Rahna Tha Zar-O-Seem Ke Aiwanon Mein
Reh Bhi Jaataa Woh Mere Saath To Rehtaa Kab Tak
Ek Maghroor Sahukaar Ki Pyaraa Baitaa
Bhook Aur Pyas Ki Takleef Ko Sehtaa Kab Tak
Ek Shayaraah Ki Tamanaon Ko Dhoka De Kar
Usne Toraa Hai Ager Pyar Bhare Geet Ki Lay
Us Pe Afsoos Hai Kyun, Us Pe Taa’jub Kaisa
Yeh Mohabbat Bhi To Ahsaas Ka Ek Dhoka Hai
Phir Bhi Anjane Mein Jab Shaher Ki Rahon Mein Kabhi
Dekh Letee Houn Mohabbatoon Ke Hujoom
Rouh Par Phailne Lagtee Hai Udasi Ka Ghubaar
Zahainn Mein Raingne Lagte Hain Khayalon Ke Hujoom
Sochte Sochte Phir Mujh Ko Khayal Aata Hai