Sochta Hoon K Bohat Saada O Maasoom He Wo
Mein Abhi Uss Ko Shanaasa E Muhabbat Na Karoon
Rooh Ko Uss Ki Aseer E Gham E Ulfat Na Karoon
Uss Ko Ruswa Na Karoon Waqf E Museebat Na Karoon
Sochta Hoon K Abhi Ranj Se Aazaad He Wo
Waaqif E Dard Nahin, Khoogar E Aalaam Nahin
Sehr E Aish Mein Uss Ki Asar E Shaam Nahin
Zindagi Uss Keliye Zehr Bhara Jaam Nahin
Sochta Hoon K Muhabbat He Jawani Ki Khizaan
Uss Ne Dekha Nahin Dunya Mein Bahaaron Ke Siwa
Nikhat O Noor Se Labrayz Nazaaron Ke Siwa
Sabza Zaaron Ke Siwa Aur Sitaaron Ke Siwa
Sochta Hoon K Gham E Dil Na Sunaaoon Uss Ko
Saamne Uss Ke Kabhi Raaz Ko Uryaan Na Karoon
Khalish E Dil Se Ussay Dast O Garaybaan Na Karoon
Uss Ke Jazbaat Ko Mein Shola-Badaamaan Na Karoon
Sochta Hoon K Jala De Gi Muhabbat Uss Ko
Wo Muhabbat Ki Bhala Taab Kahan Laaye Gi
Khud To Wo Aatish E Jazbaat Mein Jal Jaaye Gi
Aur Dunya Ko Iss Anjaam Se Tarrpaaye Gi
Sochta Hoon K Bohat Saada O Masoom He Wo
Mein Ussay Waaqif E Ulfat Na Karoon