Sher Se Shayari Se Darte Hain,
Kam Nazar Roaushni Se Darte Hain,
Log Darte Hain Dushmani Se Teri,
Hum Teri Dosti Se Darte Hain,
Duniya Mein Majbooron Ki Aah Ke Siva,
Aur Hum Kab Kisi Se Darte Hain,
Humko Gairon Se Dar Nahi Laghta,
Apne Dosto Hi Se Darte Hain
Kayamat Ke Din Khuda To Baksh De Shayad,
Haan Magar Maulawi Se Darte Hain,
Roothta Hai To Ruth Jaaye Jahaan,
Unki Hum Berukhi Se Darte Hain,
Har Kadam Per Hai Dhoop Hi Dhoop,
Ab To Hum Chaandni Se Darte Hain.