Shahar Mein Dhound Rahaa Houn Ke Sahaaraa De De
Koyi Haatim Jo Mere Haath Mein Kaasah De De
Ped Sab Nange Faqeeron Kii Tarah Sahame Hain
Kis Se Ummeed Ye Kii Jaaye Ki Saayaa De De
Waqt Kii Sang-Zanii Noch Gayii Saare Naqoosh
Ab Woh Aaiinaa Kahaan Jo Meraa Chehraa De De
Dushmanon Kii Bhii Koii Baat To Sach Ho Jaaye
Aa Mere Dost Kisii Din Mujhe Dhokaa De De
Main Bohot Jald Hii Ghar Laut Ke Aa Jaaoungaa
Merii Tanhaayii Yahaan Kuchh Dinon Pehraa De De
Doub Jaanaa Hii Muqaddar Hai To Behtar Warnaa
Tuune Patwaar Jo Chheenii Hai To Tinkaa De De
Jiss Ne Qatron Kaa Bhii Mohtaaj Kiyaa Mujh Ko
Wo Agar Josh Mein Aa Jaaye To Dariyaa De De
Tum Ko “Rahat” Kii Tabiiyat Kaa Nahiin Andaazaa
Wo Bikhaarii Hai Magar Maango To Duniyaa De De