Shab-E-Hizr Ka Jhagda Kya Batain Saheb
Bas Kaam Aa Gayee Apki Duaien Saheb
Diwaar Zindgi Ki Uski Yadon Pe Tiki Hai
Bhool Ke Din Raat Ki Eentein Kyu Girayen Sahib
Mai.N Hosh Mai Hi Nahi Hun Mujhse Na Poocho
Dil Hoga Yahi Kahin Dayein-Bayein Saheb
Dikhne Laga Ab Mujhe Pariyon Ka Huzoom
Aap Aage Se Mere Botal Na Hatayein Saheb
Jo Zahar Zindgi Mout Tak Asaan Kare
Sagar Nahi To Chullu Main Hi Pilayen Saheb
Na Murge,Na Suraj Na Aarti Apni Sahar
Utha De Jab Kowey Karne Lage Kayen Kayen Saheb
Hindu Mulla Ki Dunia Se Nikala Ja Chuka
Aap ‘Janumanu’ Pe Ye Tohmat Na Lagayen Saheb