Shaam Ne Jaane Se Pehle Darakhton
Se Ijaazat Maangi Thee
Mera Kayaash Ke Shaamen Chali Gayi
Jaane Waalon Ko To Jana Hi Hota Hai
Ijaazat Na Dene Se Kya Hota Hai
Ek Marasim Ki Dukhti Shazaron Per
Kuch Shaame Abhee Tak Khel Rahee Hain
Na Jaane Kab Se Jaane Ki Ijaazat Maang Rahee Hain
In Shazaron Ke Ik Ik Barg Per
Kuch Khwaabon Ka Khun Laga Hai
Aazaar Ki Kaali Syahi In Bargon Ko Na Dho Payi
Waqt To Kabka Guzar Gaya Hain
In Shazaron Per Thahar Gaya Hai
Karan.Q Gundta Hai Un Shaamon Ko
Lafzon Ke Taane Baane Mein
Kyaa Wo Khun Kabhee Bhee Dhul Payega
Jo Chipak Raha Hai Bargon Mein
Kyaa Wo Khwaab Kabhee Sach Ho Payenge
Jo Sulag Rahe Hain Aankhon Mein
Shaam Ne Jaane Se Pehle Darakhton
Se Izzajat Maangi Thee
Ek Marasim Ki Shazaron Per
Kuch Shame.N Abhee Tak Thehri Hui Hain
Ek Marasim Ki Shazron Per Kuch
Shame.N Humesha Thehri Rahengi