Sang Bitaye Pal Yaadon Ka Pravaas Hai
Woh Muskuray Hamaari Zindagi Me Ullaas Hai
Musafir Ko Manzil Ki Muddatoun Se Talaash Hai
Woh Aaj Bhi Khaas Hai, Paas Hai, Aaisa Ahsaas Hai
Herwaqt Labon Par Unke Naam Ka Ehsaas Hai
Saason Ki Khushboo Mujhme Khaas-Khaas Hai
Phoolon Ko Shabnam Ki Aaj Bhi Aas Hai
Woh Aaj Bhi Khaas Hai, Paas Hai,Aaisa Ahsaas Hai
Aaj Bhi Dhoondhta Hoo Usse Kya Dharti Kya Aakash Hai
Mitti Ka Jism Ab Toh Sirf Laash Hai
Lagta Hai Kal Tak Jo Tha Sirf “Kaash” Hai
Woh Aaj Bhi Khaas Hai, Paas Hai, Aaisa Ahsaas Hai