Sambhle Se Ishaaraat Hon, Sanbhlii Si Nazar Ho
Pehli Si Mohabbat Na Sahi, Kuchh To Magar Ho
Saagar Ho, Suraahi Ho, Mai-E-Zood-Asar Ho
Jeenaa Ko’i Mushkil Naheen, Saamaan Agar Ho
Chaukhat Ho K Dehleez, Dareecha Ho K Dar Ho
Jaisaa Bhi Ho, Kehne Ke Liye, Ko’ii To Ghar Ho
Ham Jis Ki Tajallii Ke Hain Mushtaaq Azal Se
Voh Kaafir-E-Aafaaq, Khudaa Jaane, Kidhar Ho
Ham Jaan Bhi De Den To Ko’i Dekhe Na Dekhe
Voh Hont Hilaa De To Zamaane Ko Khabar Ho
Tan-Haa’ii Mein Reh Kar Bhi Main Tan-Haa Naheen Rehtaa
Rehtaa Hai Ko’ii Saath Safar Ho K Hazar Ho
Sab Kii Yeh Du’aa Hai K Main Is Rog Se Chhootoon!
Merii Yeh Du’aa Hai K Du’aa Mein Na Asar Ho
Ab Jaane De, Jaane De, Mujhe Ai Shab-E-Hijraan
Shab Bhar To Ruke Voh Jise Ummeed-E-Sahar Ho
Is Bazm-E-Adeebaan Mein Bhalaa Qais Ka Kyaa Kaam
Us Rind-E-Kharaabaat” Mein Ko’ii To Hunar Ho