Sahamte Dil Ne Kya Bharosa Pehli Baar
Ek Kandhe Ka Aasra Chhaha Pehli Baar
Us Bharose Ko Banaye Rakhte
Us Vishwas Ko Tikaye Rakhte
Kaash Tum Ek Baar Mudkar Dekhte
Har Roz Ki Subah Ke Saath Humare Aash Jage
Har Doobte Suraj Ki Tarah Dil Bhi Dooba
Har Raat Ki Kaali Andhayari Jaisi Ghumi Chhayee
Yeh Dil Humara Is Pinjare Me Tadpe
Kaash Tum Ek Baar Mudkar Dekhte
Kaise Aaye Ab Tere Dar Par
Jab Chhoda Saath Tune Mukh Mod Kar
Jahan Se Hum Sataye Hue The
Phir Bhi Khuda Se Tere Liye Duan Mangte
Kaash Tum Ek Baar Mudkar Dekhte
Dil Ka Haal Sunaya Is Shayari Ke Jhariye
Kuchh Humse Suna Kuchh Khud Bhi Sunate
Dil Ko Phool Samajh Tere Kadmo Me Chhadhaye
Tum Usko Aapni Aankhon Se Lagate
Kaash Tum Ek Baar Mudkar Dekhte
Aisa Na Ho Aap Mud Kar Dekhe Aur Hum Na Rahe
Yeh Shareer Hi Rahe Aur Humare Praan Na Rahe
Phir Chhahe Par Bhi Aap Pakad Na Paaye
Jab Hum Bhavsagar Ke Uspaar Chhale Jaaye
Uske Pahle Ek Baar Tum Mudkar Dekhle