Saddiyon Say Tashnagi Kay
Lamhoon Mein Jee Rahe Hoo
Khayaal Koi Thammay
Tukhaiyaal Kay Hath Ko
Liyeah Phir Rahee Mujh Ko
Vairaan Ankhoon Mein Khuday
Taveel Hijar Kay Rastoon Pay
Gae’ee Rutoon Ke Hidatoon Say
Jhulsay Howay Badan Ko
Aur January Ke Iss Shaam Mein
Barf Say Jhuki Shakhoon Pay
Kitnay Phool Jo Khil Rahay Thai
Pichlay Bars Ke Issi Shaam Mein
Aaj Soog Ke Safaid Chadar Tallay
Chupay Howay Hain..Woh Gulaab Saray
Aur Woh Sahma Bacha Jo Har Waqat
Mairay Saaye Say Lipta Rehta Tha
Har Safar Say Pehlay Har Moor Say Pehlay
Jo Mujh Ko Rook Laita Tha
Udaas Kabhi Jo Hoota Tha
Mairi Ankhon Mein Aa Kay Hansta Tha
Woh Bhi Yaheen Pay Kaheen
Mousam Ke Pehli Barafbaree Mei
Soug Ke Iss Safaid Chaddar Tallay
Rut Jagoon Say Thak Kay Soo Gaya Hai
Aur Hasratoon Kay Darya Mei
Mairee Neendain Beh Gai Hai
Mein Tab Say Tashnagi Kay Lamhoon Mei
Na Jee Rahe Hoo Na Maar Rahae Hoo