Sach Aur Jhuth Kisay Kehte Hain
Ye Bhee Hamay Maalum Na Thaa
Raat Ka Saathi Din Ko Bichhda
To Kuchh Baadal Ghir Aaye
Din Aur Raat Kisay Kehtay Hain
Ye Bhee Hamay Maalum Na Thaa
Ghar Ki Yaad Kabhi Jab Aayi
To Bass Maa Ki Yaad Aai
Maa Yaadon Mein Bhee Rehti Hain
Ye Bhee Hamay Maalum Na Thaa
Thodi Dur Pe Dair-O-Haram Hain
Phir Bhee Hai Kitni Ruswaai
Kaun Se Dar Pe Sar Hai Jhukaana
Ye Bhee Hamay Maalum Na Thaa
Kaisi Qasad Hai Kaisi Qasad Hain
Jeena Marna Dubhar Hain
Jeetay Rehna Apni Saza Hain
Ye Bhee Hamay Maalum Na Thaa
Baarish Se Bachkar Jo Nikle
Tufaanon Se Ghir Baithay
Apne Jaisa Koi Nahi Hain
Ye Bhee Hamay Maalum Na Thaa
Khud Apnay Hi Haathon Suli
Chadhne Ki Thaani Hammne
Dunia Daari Ek Saza Hain
Ye Bhee Hamay Maalum Na Thaa
Tumko Kya Maalum Hai Kehtay
Tum To Thehray Anjaane
Duniya Ko Maaloom Hai Sabkuchh
Ye Bhee Hamay Maalum Na Thaa