Saat Pheron Kii Rasm Hain Ye
Aane Wale Saat Janmon Kaa Hisaab Hai Ye
Saat Saheliyon Kii Khushi Kaa Maahoul Hai Ye
Saat Suhagon Kii Kaanom Mein Kahi Gayi ,
Nazm Hai Ye Saat Palon Mein Tut Jayega,
Wohh Khwaab Hai Ye Thik Saatve Din Honewala Ye Jashn Hai Ye,
Saat Swaron Se Bunni Hui,Kisi Ajnabi Ki Shehnai Ki Gunj Hai Ye…
Saat Saalon Se Tarasti Ek Maa Ki Muraad Hai Ye…
Saat Samandar Paar Dil Se Ki Gayi Kisi
Badnaseeb Ki Preet Ki “Haar” Hai Ye,
Dur Desh Se Thik Saatve Din Aa Raha Ek Shagun Hai Ye,
Saat Pal Mein Ruswa Ho Jayega,
Saat Pal Mein Khud Ko Maara Jayega,
Majboori Ke Khanjar Kii Dhaar Pe,
Kaati Gayi Dil Kii Taar Hai Ye,
Saatve Din Ishwar Se Hone Wali,Ek “Vaardaat” Hai Ye,
Hazaaron Logon Ki Saat Pal Ki Khushi Hai Ye,
Ek Badnaseeb Ki Ek Pal Bhi Bardasht,
Na Honewali Reet Hai Ye,
Thik Saatve Din Aasman Se Honewali,
Bhagwan Ke Ansuon Ki Barsaat Hai Ye.