Roshni Mizaajoan Ka Kiya Muqaddar Hai
Zindagi K Raastay Main Bichnay Waalay Kaantoan Ko
Raah Say Hataanay Main
Aik Aik Tinkkay Say Aashiyaan Banaanay Main
Khusbuain Pakarnay Main , Gulistaan Sajaanay Main
Umar Kaat Daitay Hain
Aor Apnay Hisay K Phul Baant Daitay Hain
Kaissi Kaissi Khawaahish Ko Katal Kartay Jaatay Hain
Darguzar K Gulshan Main Abar Ban Kay Rahtay Hain
Sabr Kay Samundar Main Kashtian Chalatay Hain
Yeh Nahein K Unko Iss Roaz O Shab Ki Kawish Ka
Kuch Silaa Nahein Milta
Marnay Waali Aasoan Kaa Khun Baha Nahein Milta
Zindagi K Daaman Main Jiss Qadar Bhi Khusiyaan Hain
Sab Hi Haath Aati Hain
Sab Hi Mill Bhi Jaati Hain
Waqt Parr Nahein Milteein — Waqt Parr Nahein Aatein
Yaanei Unn Ko Mehnatt Ka Ajr Mil To Jaata Hai
Laikin Iss Tarah Jaisay
Qarz Ki Raqam Koi Qist Qist Ho Jayey
Asal Jo Ibaarat Ho Pass E Nawisht Ho Jaaey
Fasl E Gull K Aakhir Main Phul Unn Kay Khiltay Hain
Unn Kai Sehan Main Suraj Der Say Nikaltay Hain