Pighalte Waqt Kee Surat Mujhe Rulati Hai
Na Jaane Kyun Teri Surat Ubhar Ke Aati Hai
Hame To Shahar Kee Veeraniyan Hi Bhaane Lagi
Hamare Kisse Ye Aksar Hame Sunati Hai
Haseen Log To Sheeshe Ke Ghar Banate Hain
Meri Nakamiyan Kagaz Pe Ghar Banati Hai !
Apne Haalat Pe Jane Kyun Hasi Aati Hai
Jindgi Roj Bahut Der Tak Samjhati Hai
Ab Kisi Or Kee Khushiyon Ke Rahnuma Hain Ham
Gam Kee Parchhaiyan Bhi Hamko Ye Batati Hai
Har Kisi Daur Main Gam Ban Ke Janam Leta Hun
Fark Bas Ye Hai Ki Meri Shaql Badal Jaati Hai
Wo Kis Ka Afsaana Tujhko Suna Raha Hai Koi
Jisko Sunkar Tere Maathe Pe Shikan Aati Hai !
Na Jane Kaun Se Sanche Main Dhal Gayi Kismat
Jindgi Dard Kee Jageer Najar Aati Hai !
Ishq Ka Naam Ab Hothon Ko Chubhan Deta Hai
Ye Nadi Pyaas Ke Manjar Mujhe Dikhati Hai !