Phir Se‚  Aaj Kuch Likhne Ko, Lo Humne Kalam Utaya Hai,
Tumse Mera Jo Wada Tha, Pura Karne Ka Waqt Aaya Hai.
Sochu Lekin Main Kya Likhu, Kaise Tumko Mai Bayan Karu,
Jo Yauvan Tumne Paya Hai, Kaise Usko Shabdon Mein Bharu.
Kaise Likhu Mai Wo Kavita Jo Ke Tumko Saakar Kare,
Kaise Bhala Ghazal Ko Ab Ek Kavita Ka Aakaar Kare.
Har Ang Tera Ek Paimana, Wo Baat Mere Shabdon Mein Kahan,
Mayakhane Tumpe Rask Kare, Wo Nasha Mere Labzon Mein Kahan.
Kaise Tere Bholepan Se Mai Nyay Bhala Kar Paunga,
Kaise Teri Pyari Si Hansi Ko Shabdon Mein Rach Paunga.
Aye Khuda Ye Mana Maine Hai,Tujhsa Toh Koi Kavi Nahi,
Teri Ye Rachna Addbhud Hai, Iss Sa Toh Koi Kahi Nahi.
Lo Kalam Ye Rakh Di Phir Maine, Bas Tujhko Dekh Ke Jee Lunga,
Kashmakash Ab Ye Khatam Hui, Kavita Pe Kavita Kya Likhunga.
Ab Toh Jeewan Ye Safal Hua, Meri Manzil Jo Maine Paayi Hai,
Abtak Jiya Kavita Ke Liye, Ab Kavita Pe Marne Ki Bari Aayi Hai.