Phir Dil Ki Daastan Humse Poochta Jata Hai Koi
Door Phir Virane Main Tanhai De Jata Hai Koi
Sagar Main Thi Jab Apni Kashti
Lekar Leher Sang Chali Thi Kashti
Phir Kiyon Lehron Main Toofan Kiyon Utha Jata Hai Koi
Door Phir Virane Main Tanhai De Jata Hai Koi
Mere Jalti Shama Ko Jab Bhujakar
Dekar Mujhe Aansoon Meri Hasin Chura Kar
Phir Ruthe Dil Ko Kiyon Manayi Jata Hai Koi
Door Phir Virane Main Tanhai De Jata Hai Koi
Rukti Saanse Jab Thair Ke Saans Leti Hai
Udas Dil Jab Bahar Ki So Aas Leti Hai
Phir Kiyon Bekarari Tofe Main De Jata Hai Koi
Door Phir Virane Main Tanhai De Jata Hai Koi
Humko Husain Ab To Ek Zamana Ho Gaya
Baat Nahin Ki Unse Ek Arse
Zuban Ka Yeh Afsana Purana Ho Gya
Phir Dil Todh Kar Dard Kiyon Pahooncha Jata Hai Koi
Door Phir Virane Main Tanhai De Jata Hai Koi